Dosto Aaj hum aapko SD card, Memory card ke bare me batane wale hai. Ye Android phone walo ke liye hai. to aaj hum Baat karne wale hai ki
Android Phone Me SD Card, Memory Card Format Kaise Kare. Aapko lag rha hoga ki ye to aasan hai but fir bhi me aapko batane wala hu. kyuki esase bahut saare fayde hai. Mujse Bahut se Dosto ne pucha tha esi bare me ki android phone me
sd card Memory card format kaise karte hai kyuki unko nhi pta tha android mobile me format wala option kaha par aata hai. or sayad Apko bhi nhi pta hoga agar apke pass new mobile hai to.
|
Android Phone Me SD Card Format Kaise kare. |
Esake Liye Apko apne mobile me bus thodi si setting karni hogi jo ki bahut aasan hai. na to apko koi app download karna hai format ke liye or na hi computer, PC ki jarurat hai. bus humari di gyi jankari follow karni hai step by step. To Aaiye jante hai memory Card Format kaise kare. Sd card format karne ke bhi bahut saare fayde hai jo apke phone ki performance acchi kar sakte hai. apke Sd card ki life bada sakte hai or aise hi bahut saare fayde hai jinhe aap nice detail me pad sakte hai.
Android Phone Me SD Card, Memory Card Formate Kaise Kare –
Android Phone Me Sd Card, Memory Card Formate karne ke liye niche di gyi jankari Acche se Pade or Step By Step Follow Kare.
STEP- 1 :: Sabse Pahle Mobile Ki Setting ME Jaye.
STEP- 2 :: Settting Me Jane Ke Bad Apko Usme Bahut Sare Option Dikhege to Unme Se STORAGE Wale Option par Click Kare.
|
Select Mobile Storage |
STEP- 3 :: Storage Wale Option Par Click Karne ke baad Apke Samne Mobile ke storage ki puri jankari Aa jayegi. Usi Ke LAST me Apko Ears Data Ya Format SD Card ka option Milega to Uspe click karke Aap Sd Card, Memory Card ko Format kar sakte hai.
|
Erase Sd Card |
STEP- 4 :: Done!!!!!! Ab Apka SD Card Successfully formate ho chuka hai.
NOTE:- Yaad Rakhe Sd Card Formate karne se pahle uska backup jarur lele. kyuki sd card delet ho jane ke baad apka pura data ud jayega.
SD Card Format Kyu Karna Chahiye ? SD Card Format karne Se Fayde –
Apke man me ye sawal to jarur aaya hoga ki SD card format kyu karna chahiye or usase fayda kiya hai. to hum apko bta de ki uske bahut saare fayde hai. jo apke phone or sd card dono ke liye faydemand hai. aaiye jante hai Sd card ke fayde.
- Sd Card Ko Samay Samay par format karne se sd card me virus nhi aata hai or jo virus pahle se hota hai wo apne aap delet ho jata hai.
- Memory Full ho jane ke baad apka SD card Currupt ho sakta hai kharab ho sakta hai or fir sayad kabhi bhi sahi na ho.
- or aap usase time to time new data dal sakege sd card me. new song, new videos, or bhi bahut saari chije.
- Apke Phone ki speed bhi badegi kyuki memory card me jyada data hone se mobile bhi hang karne lag jata hai. to ab aapka mobilr bhi mast chalega.
- Esase apke Android Phone Me Create hone wali temprary file bhi delete ho jati hai jo apke phone ki jaan nikaal leti hai.
To Dosto muje aasha hai ki aapko humari ye post jarur acchi lagi hogi or aap acche se sikh bhi gye hoge ki Android Phone me Sd Card Formate kaise kare. To dosto humare dwara batayege gye Steps ko Acche se Follow kare. Agar Aap galti se apne kisi important data ko delet kar dete hai to aap use aasani se wapas la sakte hai uske liye bhi hum article likh chuke hai. to aap jaan chuke hoge memory card delete kaise karte hai. Agar aapko humari post Acchi lagi to ese jarur share kare.