Android Phone Ko CCTV Camera Kaise Banaye HIndi Me jane

Hello Friends, Es Post Mein Aap Janege Ki Kaise Aap Apne Android Mobile Ko CCTV Camera Bna Sakte Hai. Kaise Apne Mobile Ko Ek Hidden Camera Ki Tarah Use Kar Sakte Hai Or Apne Aas Paas Hone Wali Harkat Ko Record Kar Sakte Hai. Aap Apne Android Mobile Ka Use Ek CCTV Camera Ki Tarah Kar Sakte Hai Security Ke Tor Par Ya Apne Ghar Me Bahar Kahi Bhi Set Kar Sakte Hai,
Ye Ek Dam Free Ka System Hai CCTV Camera Banane Ka Bas Apko Chahiye Ek Android Mobile Or Ek Laptop/Pc. Android Mobile Ko CCTV Camera Banana Bahut Hi Aasan Hai Or 100% Secure bhi hai. Aap Apne Android Mobile Se Ekdam Real Wale  Camera Ki Tarah Kisi Bhi Jagah Par Nazar Rakh Sakte Hai or Recoeding Bhi Kar Sakte Hai.

android mobile ko cctv camera me convert kaise kare
Android Mobile Ko CCTV Camera KAise Banaye.

Aapke mein ye khayal bhi aa rha hoga ki android mobile ko CCTV camera banane se kya fayda hoga. Par Main Aapko Bta du ki ye Ek Aisi TEchnic Hai Jisase Aap Kisi Bhi jagah par najar rakh sakte hai agar aapki koi shop hai to wha par aap apne mobile ko cctv camera ki tarah use karke apni shop par nazar rakh sakte hai or shop par chori hone se bacha sakte hai. Aap apne Ghar me bhi mobile ko hidden ki tarah use kar sakte hai or apne bachho ya naukar wagerah par najar rakh sakte hai ki wo kya kya karte hai, or Aisa karne ka koi karcha bhi nhi hai.

Agar aap cctv camera lagawayege to aapko bahut kharcha karna padega camera lana padega or baki ka setup bhi. aap humari es post ko padkar me bna lege. or aapke paise bhi bach jayege. To haina Kamaal ki baat.

Android Phone Ko CCTV Camera Banane Ke Liye Kya Kya Chahiye:- 

Friends To Ab Jante Hai KI Android Mobile Ko CCTV Camera Banane Ke Liye Kis Kis Chij Ki Jarurat Hoti Hai. Sabse Pahli Baat To Ye  Ki aapke Pass Ek Android PHone Hona Chahiye Jisme Hum Ek Apps Install Karege Or Apke Pass ek Computer/Laptop Hona Chahiye Jispe CCTV Camera Ki Video Show Hogi, Matlab KI Aapke Android  Mobile Se Jo Video Record Hogi Wo Apke Computer/Laptop Ki Screen Par Dikhegi.

 Sabse  jyada jaruri Internet  Connection Apke Mobile Or Computer Me Internet Connection Chalu hona Chahiye. Agar Apke Pass wifi Connection Hai to Aap wifi se bhi connect kar sakte hai.

ALSO READ:- Reliance Jio 4G: सिम को 3G MoBile में कैसे Use करे ( HIndi Me Jane ) – 2016

ALSO READ:- Android Mobile Hack Kaise Kare (How To Check friends CALL/SMS) – 2016

ANDROID MOBILE Ko CCTV Camera Kaise Banaye:- 


TO Friends Ab Hum Janege Ki Android Mobile Ko CCTV Camera Kaise Banate Hai. or Kaise apne Aas Pass Hone wali harkato par najar rakh sakte hai. Android Mobile Ko CCTV  Camera banane Ke liye Apko Apne Mobile Me DroidCamX Name Ka App Download Krna hai Fir Apka Mobile CCTv Camera ban jayega Baki Ka STEP by Step Niche hai.

  1. Sabse Pahle Aap Playstore Par Jakar DroidcamX Name Ka Application download karna hai, 
  2. App Download Ho Jane Ke Bad App Ko Install Karke Open Kre. “Apka Mobile Data On Hona Chahiye” 
  3. App Open Karne ke Bad Apki Screen Par Ek WIFI IP  Dikhayi dega or Ek BROWER IP Cam.  Jaisa Ki Aap Niche Photo Me dekh Sakte Hai.
  4. Ab Mobile Main Jo Ip Address Dikhayi De rha Hai Usko Apne Computer/Laptop Ke Browser Me Dalkar Open Kre. 
  5. Ab Aapke Mobile K Camera On Ho Jayega Or Apke Computer Screen  Par Mobile Ki video Show hone lagegi. Matlab Ki Ab Aap Apne Mobile Ko Kahi Bhi Set Krege us Jagah Ka video Apke Computer Screen Par dikhne lagega. 
  6. Aap Video me se image bhi capture kar sakte hai video ka size kam jyada kar sakte hai jisase aapko dekhne me sab kuch saaf saaf dikhega.


Friends Muje Lagta hai ki aapko meri ye post Android Phone Ko CCTV Camera Kaise Banaye jarur pasand aayi hogi, or ab aap acche se sikh bhi gye hoge ki android mobile ko cctv camera kaise banate hai. agar aapko abhi bhi koi dikkat aati hai to aap hume comment karke bhi puch sakte hai,  or aisi hi new new letest technology ki jankari pane ke liye humari website ko daily visit kare or suscribe bhi kre.
Thank you for Reading!!!!!!!!!!!!!

Leave a Reply